ANDROID TRICKS KI JANKARI HINDI MEIN ANDROID TRICKS IN HINDI

2
ANDROID TRICKS KI JANKARI HINDI MEIN ANDROID TRICKS IN HINDI
image credit by komando.com

hello dosto ajke  iss topic mein apko batane ja raha hu kuch android tricks ki jankari woh bhi hindi mein.dosto aise aap ne android ka name suna hi hoga aur yeh bhi jante hai ki andrid ek operating system hai jisse smartphone ko chalane ke liye istemal kiya jata hai.lekin iska matlab yeh bhi nahi hai ki apke mobile agar android nahi hoga toh apke mobile nahi chalega.aur bhi bahut sare operatig system market mein upolabdh hai windows aur apple jaise.

 iss post ko padhkar aap jan sekte hai virus ki puri jankari

dosto aaj mein apko bataunga android operating system ke bare mein aur aap yeh bhi jante honge ki yeh google ne hi banaya hai.aur yeh sabse jada lokopriyo bhi hai abhi ke time mein.

simple sa baat hai ki aap agar yeh post padh rahe hai toh app bhi jarur android phone ka istemal kar rahe hai .aur agar aap android phone ka istemal kar rahe hai toh apko android ke bare mein bhi thoda jankari bhi rakhna hai.aur isiliye aaj mein aap logo ko yeh batane wala hu aur iske sath jude huye kuch anjane batein android tricks in hindi joh apke liye bahut madatkar ho sekta hai.

restart android phone*

dosto ab aap yeh soch rahe honge ki yeh konsa badi baat hai ?power button ko kuch time daba ke rakhne par toh aise hi restart button ka option ajata hai.aur usme click kar dene se hi apke phone restart ho jata hai.right?                                                                                                                                                 lekin dosto jab apke phone hang ho jata hai  aur woh option sahi se kam nahi kar pa raha hai tab kya karenge aap?ji haa iske baad bhi apke mind mein ek tarika hai woh hai battery ko nikalkar fir se dalke start kare.lekin musibat ka baat yeh hai ki aajkal ke din mein jadatar aise mobile ane lage hai jiske battery aap asani se nahi nikal sekte hai yani ki uske joh battery hota hai woh andar se hi seal rahta hai sochiye uss time aap kaise apne phone ko chala payenge?chaliye mein hi bata deta hu andriod phone ko alag tarike se kaise restart kare?

cache memory kya hai janiye iss post ke madhyam se

dosto apne android phone mein power key+home key + volume key ko ek sath dabaye rakhe aur iss tarike se apke phone mein restart ka optin ajayega jisse aap click karke apke android phone ko restart kar sekte hai.aur ek baat ka apko dhyan rakhna hai ki jab aap upr diye huye 3no button ko ek sath press karte hai tab apke screen touch kam nahi karta hai toh apko screen mein restart mein jane ke liye voloume+- button ka istemal kare aur select ke liye power button ka istemal kare.

power buton se call cut kare*

dosto yeh android tricks sab android users ke liye kafi madatgar hai kyu ki aap iske madat se aap sirf power button ko press karne par hi call cut kar sekte hai.aur kabhi kabhi hamre ko aise samay ka samna karna padta hai ki jab android phone ka sensior sahi se kam nahi karne par uski light jal nahi pata hai aur hame call cut karne mein bahut taklif uthana padta hai.aur kuch time apke hath se scree ko touch nahi kar sekte hai aisa bhi time ajata hai tab apko yeh trciks bahut kam mein aa sekta hai.                                      aur iss taklifi ko dur karne ke liye aab aap asan sa tarika yeh hai ki power button ko press karte hi apke call cut ho jayega.yeh default setting off rahta hai iske liye apko sabse pehle isse on karna padega.uske liye apko apke mobile mein setting> par jana hai uske baad accessibility>power button end calls on karke save kar dena hai aur apke phone mein yeh technic kam karne lag jayega.

iss post mein apko bhi jan ne ka moka milta hai ki internet kaise kam karta hai hamre liye

android phone chori yaa kho jane par kya karna chaiye*

dosto apke android phone kisi bhi karan se agar chori ho jata hai hai yaa kahi pe gir jata hai toh apke mind mein bhi yeh ek sawal ka paida jarur koi na koi ata hoga ki apke uss phone ko koi galat kam ke liye istemal na kar seke taki uske galat kam ke wajha se koi apko na bhugna pde.toh isse mukti pane ke liye apke phone mein*#06# dial kare aur uske baad hi apke mobile ke screen mein 15 digit ka ek code number dikhega aur uss code ko aapko note karke rakhna hai aur isse sambhal ke rakhna hai aur joh company ke mobile tha wohi company ke service centere mein jaiye aur usse baatye ki yeh mera handset kho gya yaa chori ho gaya toh woh service center wale koi na koi apke uss chori hua phone ko block karne mein madat kar sekta hai aur aap nischit rah sekte hai.

note.dosto aab yeh mat kehna ki mera toh mobile hi gum gaya hai aab kya ghanta se *#06# dial karke imei number chek karu.dosto iske liye toh apko thoda bahut mehnat karna hi padega jasie ki apke pass agar mobile ka box hai usme stickers hota usme bhi imei number hota hai .aur nahi nahi toh apke pass agar uss phone ka bill hai toh usme bhi apko imei number mil jata hai.aur apko dhyan rakhna hai ki aap agar dual sim wala phone ka istemal karte hai toh dhyan rakhe ki usme 2 imei number hota hai aur usme apko joh 1 number imei hota hai yani ki jisme aap sim 1 use karta hai wohi number register rahta hai toh apko usi ko note karke rakhna hai aru uss imei ko block kar hai .

aur agar apke pass yeh sab mein se koi bhi chez nahi hai jaise ki box,bill,aur imei number bhi yaad nahi hai toh aap kya kar sekte hai aab.dosto agar aisa aap karte hai toh apko ek baat ka dhyan rakhna hai ki yeh joh imei number hai yeh apke mobile ke serial number hai aur apko kisi bhi product ka serial number hi yaad nahi rahega toh aap kya proof doge jab usse block karwane jaoge.toh kripya dhayn se imei number ko sambhal ke rakhe taki sahi samay par sahi kam pe istemal kar seke.

                                                   duniya ke sabse dhoni app snapchat ki puri jankari iss post mein

dosto yeh jankariya apko kaisa laga aap mujhe cooment ke jariye batana na bhule.aur aise hi internet se jude huye naye naye jankriya jaise facebook, whatsapp,youtube,twitter,instagram ,blogging ,addsense etc ke tips yaa trciks ke bare mein jankari prapt karne ke liye jude rahiye hamare sath yani ki internetsikho.com ko subscribe kare taki har post turant apke mail box mein mil jaye jisse aap asani se apdh seke.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.