hi dosto aaj ekbar fir se aapsbko internet sikho mein bahut bahut swgat hai.
dosto aaj mein apko batayenge manushyriti ka hisab se iss duniya mein ku6 aise log hai jinka majak kabhi nahi udana chahiye yaa fir insult nahi karna chahiye.
aur aaj ham janenge ki yeh log kon hai?
*yehsab posts ki bhi padhe*
hasi majak aur kisika insult karna hamare jivan ka ek hissa hai agar yehsb na ho toh zindagi bahut suni suni lagega.
yeh bhi kehte hai ki hasna manush hone ka nishani hai .ku6 log aise bhi hote ki duro ka majak udakr haste hai. yeh baat thik nahi hai.hame samajik dayre mein rahte huye kisi ka insult karna yaa majak udana nahi chahiye.
yaa majak karna chahiye udana toh kisi ka majak nahi chahiye.
jis majak se kisi ka apoman ho usse dukh pauche aisa kaam bhulkar bhi nahi karna chahiye.
manushyriti mein bataya gaya hai ki kin logo ka majak nahi udana chahiye.
लोगो का मजाक क्यों नही उड़ाना चाहिए?
hing angwale matlab jinka ang kam ho
hing angwale log matlab jiska sharir ka koi na koi hissa yaa toh hai hi nahi yaa adhura hai.
jeise lula,langda ,kana iss tarah ka.ku6 log toh janam se hi hin angawale hote hai.
aur ku6 log durghotana mein anghin ho jate hai.
manushriti ke anushar aise logo ka kabhi bhi majak nahi udana chahiye.
kyu kam ang hone ke karan pehle hi woh sahanbhuti ke patur hote hai.
manustya ke hisab se aise logo ko toh apko madat karna chahiye na ki majak udana chahiye.
jadi ham aise logo ka majak udate hai toh woh dukhi hote hai .iska bura parinam yaa fal kisi na kisi time mein yaa bhabisyat mein hame milta hai.
isliye hinangwale logo ka majak kabhi bhi nahi udana chahiye.
fir ata hai adhik angwale.ku6 logo ke sharir mein adhik ang hote hai jaise ki hath yaa pair mei 6 ungliya hote hai.manushriti ke anushar sharir mein adhik ang hone par bhi kisi ka majak nahi udana chahiye.kyu ko woh toh janjatni hi aisa hai.bhagwan ne usse isi roop mein dharti par bheja hai.jadi aap aise logo ka majak udhate hai toh samajhna chahiye ki ham param pita parameshar ka majak uda raha hai.aise logo ka majak udane mein bibad ki sthiti bhi ban sekta hai.manushtya ke hisab se aise logo ka majak yaa insult nahi udana chahiye.
fir joh log asikshit hai galti se ham uske sath bina soche samjhe kabhi majak uda dete hai.yeh
sistachar ke birudhh hai hame aisa nahi karna chahiye.agar koi bykti unpad yaa asikshit hai aur koi muskil mein hai toh hame unka madat karna chahiye.na ki majak udana chahiye.uss bykti ke asikshit hone ke pi6e paribarik yaa samajik karan ho sekta hai.aise bykti ka majak udakr ham usse dukhi pauchate hai .jabki yeh hamara dayitto hai ki bhul kar bhi hamare wajaha se koi dukhi na ho.
aur joh log aau mein bade hai .joh bhi bykti uamr mein bada hai unhe samman karne ka yoggo hai.
bachpan se hi hame yeh sikhaya jata hai ki umro adhik hone ke karan koi baar bujurg aise kaam kar baith te hai jiske karan unka majak udaya jata hai.
kyu ki aap bhi jante hai yeh thik nahi hai.
koi bujurg ghar mein aise ghatanao ka shikar ho jate hai .agar bhulkr kabhi kisi bujurg se aisa kaam hi bhi jaye toh majak na udakr unke sath sahanubhuti karna chahiye.aur mushkil samajhne ki kaushis karna chahiye.aise time unke man mein ek ehsas hoga aur hamare liye ek sukh upobhog karenge.
isiliye bhulkar bhi kabhi bhi apne se umar mein bade bykti ka majak nahi udana chahiye.
fir kroop bykti ka majak nahi udana chahiye.har insaan ka chehara rong roop aur sharirik gathan alag alag hote hai.kisi ka chehra gora hota hai toh kisi ka kala ,ku6 log sundar hote hai toh ku6 ka chehra iska biprit hota hai.
koi bykti agar kala hai yaa sundar nahi hai toh yeh uska koi dosh nahi hota hai. yeh sab toh janm se hi hota hai .hame aise bykti ke rong roop ko dhyan mein nahi rakhke uske charitro ke guno ko dekhna chahiye.
ho sekta hai ki joh bykti sunadr nahi hai aur charitroban ho charitrota ka sundorata hi mul sundorata hai.sharir ka nahi.isi baat ko dhyan mein rakhte huye hame kisi bhi bykti ka rong roop k ekaran uska majak nahi udana chahiye.
fir garib bykti ka majak kabhi bhi nahi udana chahiye.koi bhi insaan apne marji se garib nahi hota hai.ku6 log janm se ameer hote hai au rku6 log apni mehnat se paisa kamate hai.ku6 log aise bhi hote hai joh bahut mehnat karne ke baad bhi garib hi rahte hai.
garib insaan mehant majduri karta hai aur apne paribar ko palte hai.woh kisi se madat ka umeed bhi nahi karta aur apne atmasamman ko bachate huye jivan jita hai.
isse manushy ke hisab se kabhi bhi kisi garib insaan ka majak nahi udana chahiye.
aur ek 6oti jati ka joh log hota hai.dosto jati bhedabhed bhagwan ne nahi banaya hai.bhagwan ke liye toh sabhi insaan hi ek hai.joh hawa pani dharti aur aag yeh sb agar bhedbhad nahi karta hai toh hame bhi kisi jati ke adhar par kisi se bhed bahd karna nahi chahiye.aur na hi kisi ka majak udana chahiye.
koi bhi insaan apne marji se jati ka chunab nahi karte hai .woh toh samajik paristhitio ke karon woh kisi jati ka hissa ban jata hai.
manushy ke hisab se bhulkr bhi kabhi kisi 6oti jati ka bykti ka majak nahi udana chahiye.
”DON’T COMPARE YOURSELF
WITH ANYONE ELSE IN
THIS WORLD.
IF YOU DO,YOU ARE
INSULTING YOUR SELF”
dosto toh apko yeh jankari keisa laga jarur mujhe batayen comment box mein comment karke.aur haa aap apne dosto ke sath share karna na bhule isse taki unko bhi kuch jan ne ka mauka mile iss topic ko read karne ke baad .
aur aise hi aplogo ke manpasandita topic ke bare mein jankari prapt karne ke liye regular internet sikho mein visit karte rahiye kyu ki mein aise hi perday ek new topic lekr hajir hota hu yaha pe.