hi dosto aaj ekbar fir se aapsbkoo internet sikho mein bahut bahut bahut swgat hai.
dosto kya aap jante hai ki yeh indian rupees se doller ka rate jada kyu hai?
dosto iske pi6e kuch history hai aur shayed jada se jada logo ko iske bare mein pata nahi hai.
aur mein koi logo ke muh se alag alag reasons sunne milta hai but real mein oh sb reason ke wajah se doller ka rate jada nahi hai indian rupees se .
toh apko main reason ke bare mein batane ke liye hi mein aaj yeh topic ke bare mein likhne ja raha hu.
aur haa yeh topic ko padne ke baad aap hairan bhi ho sekte hai q ki yeh ek aisa reason hai joh ki pure india ke econemic ke sath juda hua hai.
kisi bhi website ke malik ke bare mein kaise pata kare janiye iss link par click karke
अनुक्रम ( छुपाये )
डॉलर के तुलोना में भारतीयों मुद्रा का दाम कम क्यों है?
india ne galti kya kar diya kishano ke taraf dhyan nahi diya kheto ki taraf dhyan nahi diya punji ke liye bidesho se karj mangna shuru kar diya.jiss hindustan mein apne itihas mein kabhi kisi desh se karj nahi liya tha uss hindustan ne ajadi ke baad 1952 mein pehli baar dunia se karj manga.apko yeh sunkr bahut dukh hoga ki 1947 tak ham duniya mein aise desh the jis desh ke karj ke upr 1 rupiya nahi tha.fir 1952 mein hamari sarkar ayi aur bideshi karj lena shuru kar diya .
karj lena shuru kar diya toh karj denewale kuch apni sahrto hamare upr lagana shuru kar diya .aap kisi se bhi karj lenge toh faket mein toh nahi dega apko.aap bank se loan lene jate hai na toh bank apne shart batata hai ki nahi.
unki sharte yeh tha ki jiss mudra mein bharat hamse karj lega uska keemat badna chahiye.matlab bharat karj lega agr doller mein toh doller ka keemat badhna chahiye.bhart karj lega agr srerling pound mein toh sterling pound ki keemat baddhni chahiye.bharat agar karj lega french mein toh french ki currency ka rate badna chahiye.
toh joh bhi bideshi mudra mein hamne karj lena shuru kiya un mudrao ki keemat badte gaye aur uski keemat ko badane ke liye bharat ki sarkar ne apne rupiya ke keemat ko girana shuru kar diya .1952 mein rupiya ke keemat giri .1947 15 august ko 1 rupiya 1 doller ke barabar tha .1 rupiya 1 sterling pound ke barabar tha..
INDIAN RUPEES KE KEEMAT DOLLAR KE TULONA MEIN KAM KYU HAI?
lekin 1952 ate ate 7 rupiya doller ho gya.fir hamne dobara 1957 mein karj liya fir 1962 mein liya fir 1967 mein liya fir 1972 mein liya fir 1977 mein liya fir 1982 mein liya aur 1982 ke baad har saal karj lena shuru kar diya .
pehle 5/5 saal mein 1 baar karj leta tha.fir 1982 ke baad har saal 1983, 1984, 1985,har saal karj lena shuru kiya. aur koi koi pradhanmantri toh aise aye mahan iss desh mein jinhone purane karje ka bayaz dene ke liye naya karj le liya .
aise bhi pradhanmantri aye iss desh mein ? .unhone ne karjo ke sare record tod diye .parinam kya hua? karj badhta gya aur 1991 se iss desh mein ek niti chalu hua jiska nam aap jante hai jisse ham udhari karan bolte hai.yeh niti ka matlab hai karj lena udhar lena .desh mein jitne pradhanmantri aye sbne andha dhun kar diya aise chalte chalte karj bahut adhik ho gya .aur in sarkaro ne kya kiya bideshi karj toh liya hi aur desh ke andar se bhi karj liya dono taraf se karj le le ke bikash karne ka kaushis kiya.sabse kharab kam hua karj lekr bikash karna.hamare bharat ki parampara mein kya bolta hai ki jitni lamba chadar utne lambi paon yeh bharat ki parampara hai.agar hamare pass kam paise hai toh kam paise mein hi kam chalao karja leke mat aao yeh bharatr ki parampara hai.lekin sarkaro ne iska ulta kar diya unhone kaha ki chadar agar badi nahi hai toh udhar ke chadar le aao ?.
1947 mein 1 doller 1 rupiya tha ab ho gya hai 2017 mein 68 rupiya 1 doller.matlab rupiya ke keemat 68 guna kam ho gya .har ek duniya ki currency ke tulona mein bharat ki rupiya ki keemat gir gya .
lekin ab ajadi ke baad aise chakkar mein desh fas gaya ki 5000 se jada bideshi company fir aa gya .
ab in companyiyo ke ane se fir nuksaan ho raha hai pehle east india company aya oh maal bechke munafa kamata tha aise yeh 5000 companiya maal bechke munafa kama raha hai .aur nuksaan duhra ho raha hai hamara ek nuksaan toh yeh ho raha hai rupiya ke keemat jaise jaise gir raha hai na bahut nuksaan hota hai isse desh ko .
INDIAN RUPEES KE KEEMAT DOLLAR KE TULONA MEIN KAM KYU HAI?
1947 mein agar ham 1 rupiya ka maal america ko bechte the toh hamko 1 doller milta tha ab 2017 mein hamko 68 rupiya ka maal bechna padta hai tab 1 doller milta hai .
matlab maal hamara 68 guna jada jata hai aur doller hamare pass 1 hi ata hai toh socho kitna bada nuksaan ho raha hai desh ko .toh dosto mujhe umeed hai ki apko aab samajh mein aa gaya hoga ko indian rupees ke tulona mein dollar ka price jada kyu hai?
dosto yeh jankari mein mahan bykti shri rajiv dixit ke kuch baatko follow karke likha hu.
aur dosto yeh topic ke bare mein apka matamat kya hai aur yeh topic apko keisa laga jarur sahre kijiye comment box mein mujhe batayein.
Aapke whatsapp group mai mera number add kar de 7763055***
sir mera koi whatsapp group nahi hai abhi.
Bhai 1 no likhe ho.
Padh ke thoda bobat gyan agaya.
Lekin dukh bhi laga.
Karan itna karj …bapre.
Abtoh bharat ko sone ki chidiya banne k liye or 1 janam lena padega.
thanks sir,hame khusi mili iss baat se ki apko sahi jankari pradan karne mein saksham raha.aur joh bol rahe ho ekdam sahi hai.kabhi bhi woh din hame apas nahi milega.